Thursday, April 4, 2019

Neend - Poem for my Papaji

Neend

Neend hamari chali gayi, sapne bhi aate nahi.
Waqt guzare ja rahe hain, gum hamare jaate nahi.
Aap achanak chale gaye hum sabko chod ke,
Hum sabke chehre pe aaj kal, hasi bhi aati nahi.

Kaash kahaniya purani sach hoti,
Ek yamraj aur uski duniya hoti,
Uski duniya tak bhi chala aata main,
Aapko wapas lane ki ye kimat bhi na zyada hoti.

Aap hamare Dil Mein the, aap hamare dil mein rahoge,
Aap hamare papa the, aap hamare papa rahoge.
Aap bas aa jao mere sapno mein,
Main khone lagunga neendo mein.

Neend hamari chali gayi, sapne bhi aate nahi.
Waqt guzare ja rahe hain, gum hamare jaate nahi.
Aap achanak chale gaye hum sabko chod ke,
Hum sabke chehre pe aaj kal, hasi bhi aati nahi.

Vicky

I wrote this poem a long time ago few months in 2016 after I lost my papaji, today is his birthday so can't think of a better day to post this poem. Nothing much has changed. Two collages from his birthday in 2015. His last birthday which I was able to attend, I couldn't join the family for his birthday in 2016 as I had joined job in another city.






2 comments:

Comments to show your appreciation or to provide your feedback......